Friday, August 26, 2011

The Last Letter Of Major Imran Ahmed To His Wife From Waziristan



Major. Imran Ahmed, Punjab Regiment, 4th Batallion.

Miranshah, North Waziristan, F.A.T.A.

August 14, 2011

Mrs. Maira Imran.

74/1 Khayaban E Bahria Lahore, Punjab, Pakistan



Assalam-o-Alaikum,



Kaisi ho Maira? Ummeed hai khairiat se hogi, main bhi khairiat se hee hoon. Maira shayad yeh khat mera aakhri khat ho isliye isko sambhaalkar rakhna, kamsekam jab tak Zaid bada nahin hojaata. Kal Zaid ki doosri saalgirah thi, main aa nahin paaya. Kaise aata? Hum logon ko ek family ke liye nahin, humaari 17 crore logon ki family ke liye kaam karna padraha hai. Meri taraf se Zaid ko bohot pyaar karna aur humaare study ki cabinet ki sabse aakhri daraaz mein green file ke neeche ek envelope hai, woh Zaid ko dedena. Maine us envelope ko aise hee waqt ke liye rakh chorha tha. Usmein uske liye mera tohfa aur ek khat bhi hai joh usko akele padhne dena.



Is waqt tak toh is khat par do aansoo girchuke honge, aakhir tum aurtein itni emotional kyun hoti ho main kabhi samajh nahin paaya. Zaid ko is tarah ka matt banaana, I want my son to be brave just like me. Zaid ki tasveerein dekhi maine, pehle kabhi nahin kaha ab kehraha hoon, woh bilkul tumpar gaya hai. Uski aankhein, uske baal, uska maatha, sab kuch tumpar hai. Pehle kabhi shayad male ego ki waja se nahin kaha, ab socha keh hee doon. Maira yeh jung bohot mushkil hai kyunke ismein donon taraf humaare apne hain, aur jung ka asal marhala apnon ko goliaan maarna hota hai. Aksar toh dus baar sochte hain, par jab pehle goli wahan se aati hai toh jawaab mein humein bhi goli chalaani padti hai. Yahan rehne waale bohot takleef se guzar rahe hain, sirf isliye taake hum unke gharon ko is operation ke liye istamaal karsakein. Sab kisi na kisi tarah is mulk ke liye qurbaanian dene par lage huye hain, aakhir yeh mulk hai hee itna pyaara.



Parson humaari duty ek school mein lagaayi gayi. Ek foji ke liye chowkidaar ki tarah school ki rakhwaali karne se badtar kuch nahin hai, yehi sochkar bohot dair tak mera muun bana raha. Par phir jab saare bacchon ko school aakar buland awaaz mein Pakistan ka qomi taraana gaate huye suna toh yoon samjho saara ghussa pighalgaya. Un bacchon ko bina darr ke padhta dekhkar dil ko bohot khushi huyi, unke chehre mutmayeen thay kyunke woh jaante thay ke kuch nahin hoga kyunke hum wahan hain. Ek dehshatgard ne school ki imaarat ke andar bomb fix kardiya tha, agar hum evacuation karvaate toh bohot sa jaani nuqsaan hosakta tha, isi liye maine wohi kiya joh ek foji ka farz tha apne mulk ke bacchon ke liye. Maine us bomb ko haath mein uthaaya aur usko lekar school ki imaarat se duur bhaag gaya. Bahar jaakar blast hogaya aur main yahan hospital mein admit hogaya. Mujhe is sabka koi afsos nahin hai Maira, kyunke woh bacche salaamat rahe. Maine toh foj join hee isliye ki thi taake apne is paak watan ko apni jaan ka nazraana desakoon. Main shaheed hoon Maira, mujhe inhi alfaaz mein yaad kiya karna, aur Zaid se kehna ke woh bhi sabko fakhr se bataaye ke uska baap mulk ki khidmat karte waqt on duty shaheed hua hai. Zaid bohot pyaara baccha hai Maira, aur ab tumhein akele usko paalna hoga. Aaj marte marte waseehat kar raha hoon, Zaid ko bhi foji banaana Maira. Is kaam mein ek ajeeb sa nasha hai, shaahadat ka nasha, mulk ke liye jaan qurbaan karne ka nasha, aur is nashe ke aage duniya ka har kaam pheeka hai. Meri maut par afsos naa karna, jashn manaana kyunke main teen sau bacchon ko bachaakar jaan deraha hoon, aur waise bhi shaheedon ki maut par roya nahin fakhr kiya jaata hai.



Maira, tumhein ab khud hee apna khayaal rakhna hoga. Apne ammi abbu ko apne paas bulaalena, tumhein akele rehne ki aadat nahin hai. Maira jab tum mere ramp ceremony (funeral) par aaogi toh wahan meri uniform, medals aur badges Zaid se collect karvaana. Main chahta hoon woh is umar mein hee ek foji hone ke jazbe ko mehsoos kare. Bas main itna kehsakta hoon ke mujhe intezaar hai ab apne mulk ke hilaali parcham se lipatkar shaheed kehlaaye jaane ka. Main aaunga apni ramp ceremony par, dekhne ke liye ek shaheed ki maut par kitni ronaq hoti hai. Jab mere honour mein goliaan fire karke salaami diye jaane ki awaaz sununga, tabhi meri rooh ko sukoon pohonchega. Ab alvida kehdeta hoon kyunke is sabko kehne ke baad naa hee tum aur padhne ka qaabil hogi aur naa hee main likhne ke. Isliye alvida, apna aur Zaid ka bohot khayaal rakhna. Tumhaare paas Zaid is mulk ki amaanat hai, aur amaanat ko ek din lautaana hee hota hai. Main intezaar karunga Zaid ki shahaadat ka. Khayaal rakhna.





With Love,



Major Imran Ahmed, Punjab Regiment, 4th B



Source:
Eagles Of Pakistan

No comments:

Post a Comment